--------------------------------------------------------------------------------------------------
Transliteration:
Teri baato.n ke rang
Chadhe rahe dupatte par
Maine dhoye bhi
aur sukhaye bhi
dhoop bhi nikli
aur megh bhi barse,
Par ye ziddi hai
Chadhe rahe dupatte par..
Yaado.n ki hawa chali
To jaise bikhar gaye
Rang ghul ke hawa mein
Khushbu mein badal gaye
Maine saanso me sameta
Aur qaid karna chaha
Par ye shaatir hain
Chadhe rahe dupatte par..
Laja ke ek saanjh
Maine odh liye sar par
To ye chamak uthe
Rang birang jugnu bankar
Maine haath me pakde
Aur raushni taraf daudi
Par ye shareer hain
Chadhe rahe dupatte par..
Ittwaar ka din aaya
To mere saath ho liye
Boond bankar aankho.n me
Mere saath ro liye
Maine aankhein churaana chaaha
Aur baaten banaayi bhi
Par ye khaamosh rahe
Chadhe rahe dupatte par..
Chadhe rahe dupatte par
Maine dhoye bhi
aur sukhaye bhi
dhoop bhi nikli
aur megh bhi barse,
Par ye ziddi hai
Chadhe rahe dupatte par..
Yaado.n ki hawa chali
To jaise bikhar gaye
Rang ghul ke hawa mein
Khushbu mein badal gaye
Maine saanso me sameta
Aur qaid karna chaha
Par ye shaatir hain
Chadhe rahe dupatte par..
Laja ke ek saanjh
Maine odh liye sar par
To ye chamak uthe
Rang birang jugnu bankar
Maine haath me pakde
Aur raushni taraf daudi
Par ye shareer hain
Chadhe rahe dupatte par..
Ittwaar ka din aaya
To mere saath ho liye
Boond bankar aankho.n me
Mere saath ro liye
Maine aankhein churaana chaaha
Aur baaten banaayi bhi
Par ye khaamosh rahe
Chadhe rahe dupatte par..
2 comments:
I'm falling short of words to describe, how good it is.
All i can say is, its simply awsome. :)
The analogy put forth, the imagery created, the wondrous wordplay...all of it make this one a pure gem of a poetry. A vivid picture you paint with your words transporting the reader to the scene of action itself. Really looking forward to your Hindi poetry now,
Post a Comment