“Chand choodiyon ke intezaar me
Paagal roye rehti hai
Hasti khelti thi pehle
Jane kyun ab khoyi rehti hai
Har subah sadak pe
Sooraj ki laali jab chaati hai
Nange pawn wahan ye
Khoyi si Daudi jaati hai
Sheher ke simt tikaye nazren
Jaane Kisko khoja karti hai
Har aati bus se utarte logon me
ek jaana chehra dhundha karti hai
bikharne ke baad bhid logon ki
ek udaas aansu gaalo pe therta hai
Fir unhi Bheegi jhuki aankhon se
Sooni kalaiyan taka karti hai
Kuch soch wahi palken utha ke
Fir wahi simt dekha karti hai
Chand chudiyon ki intezaar me
Paagal roye rehti hai”
“ kuch gehre khayaalon me
din bhar khoya rehta hai
chand tooti choodiyon ko
akele me chooma karta hai
jab aur log ghanti sunne pe
khaane ko jaaya karte hain
ye kuch note roz mod k
ek dibbe me jama karta hai
Guzarte waqt bazaar se
Roz wahi gali tham jaata hai
Rangeen choodiyon ko pyaar se
Dekhe jaye jata hai
Ek chehra fir ankhon pe
Kuch der theher jaata hai
Saabut choodiyan ka rang use
Zeher sa chubha jaata hai
Dobaara fir kuch soch ke
Who note gina karta hai
chand tooti choodiyon ko
akele me chooma karta hai”
din bhar khoya rehta hai
chand tooti choodiyon ko
akele me chooma karta hai
jab aur log ghanti sunne pe
khaane ko jaaya karte hain
ye kuch note roz mod k
ek dibbe me jama karta hai
Guzarte waqt bazaar se
Roz wahi gali tham jaata hai
Rangeen choodiyon ko pyaar se
Dekhe jaye jata hai
Ek chehra fir ankhon pe
Kuch der theher jaata hai
Saabut choodiyan ka rang use
Zeher sa chubha jaata hai
Dobaara fir kuch soch ke
Who note gina karta hai
chand tooti choodiyon ko
akele me chooma karta hai”
2 comments:
never read such a gud piece.....
its a WOW wrk......
aapke andaz mein......"subhan allah"
wow...ayesha takia kitni sundar hai....:P...
poem bhi thik hi hai....:P
Post a Comment